AZMAISH
Mai waha
zinadagi mai pehli bar sakt khari us ki yeh harkat ko baghor dekh rh th. Sath
khari larkiyan rashk kr rh th k is tarah is nai mjhe propose kiya hota to mai
isy bandook ki zehmat hi nh daini th. Mjhe apny opper khoob pyar aya k meri
khobsorti ka jado is pai aise sar charh k bola hai k khud ko lotany pai tyaar
hai. Mai nai kuch lamha usy dekha or revolver cheen k kaha k “tumhhy is ki
zarorat nh paray ge par han bewafai ki to mai tumhy khud mar do ge mai ishq
muhbat ki addi nh na mjhe muhabat pai yaqeen hai par tumhara janoon dekh k mai
tumhy azmana chaho ge” yh baat kehny ki dair th k larko nai gitar bajana shuro
kr diya or larkeo nai mere pai phool bharsain. Mjhe mehsos ho raha tha jese mai
waqai koi shehzadi ho. University mai hamari muhabat k charchy aam hony lagy.
Larkiyan mere baray mai kehti th k baap k ghr mai b raaj krti ai or agay jo
muhabat krny wala milla wh b raj krwain gay. Kia qismat wali larki hai.
Mai khush
naseeb to waqai bht th. Ham rooz
university milty or phir roz wapsi pai driver gari ghar lay jata tha or mai
Aryan k ghr jati th. Waha sai Aryan mjhe raat ko ghr drop krta tha. Mere
waldain koi tension nh th k mai itni dair ek gair mard k ghr mai reh k atti ho
or wh b rozana. Aryan aek shidat pasand dewana tha mera. Us ka aek din b mere
begair guzara na tha. Ham zindagi ko bht khusgawar tareeky sai guzar rahy thy.
Aryan kehta
tha “Eman tum itni khobsorat ho k tumhy dekhny k baad horo ka kheyal atta” ham
raato ko b phone pai batain krty thy. Ab mera is shaks k begair rehna na mumkin
tha. Qk mai khud ko us k sapord kr chuki th. Ab mai sirf us ki th. Us nai khud
ko mere pai sawar kr diya tha jese us nai mere pai koi jado kr diya ho. Mjhe wh
apny khayalo ka or khuwabo ka haqiqi shehzada lagta tha. Mera magrora pan
khatam nh huwa tha jb k or bhar gaya tha. Mai university mai aise challti th
jese mai yaha ki malka ho. Or university mai b kisi mai itni jurat na th k wh
mjhe kuch keh sky akhir kar mai ek ameer tareen shaks ki beti or ameer tareen
shaks ki mehbooba b th.
Aryan or mai
murrree janay ki tyariyan kr rhy thy. Hmay aek dosry sia millay poray 5 saal ho
gayay thay Wh mjhe mere ghar sai pick krny aya. Hamara semester khatam huwa tha
or mai or Aryan murree mai aek mahinay k lie ja rahy thy. Meri aek dost nai
mjhe kaha “Emaan I think ab tum usy kaho k wh tumhary ghr proposal baijy shadi
ka” mai b kaha k han ab mai phir kaho ge usy. Asal mai us sai pehle b kafi bar
mai keh chuki th ab to hamara last semester b complete ho gaya tha. Laikin jab
b mai usy shadi ka zikar karti to wh yahi kehta tha “emaan ab k din to enjoy
kr lo shadi b kr lay gay itni b kia
jaldi konsa tumhari omar guzar rh konsa meri” par ab to sb ko pata tha mama or
baba k millny walay kafi log hamay sath daikh chuky thy. Meri university mai sb
ko pata tha even kuch log to smjhty thy k hamara nikah ho chukka par nikah to
dor ki baat hamari to engagement b nh hoi th.
Abhi mai
soch hi rh thy h sb kuch k Aryan nai horn banajan shuro kr diya Billakhir ham
murre k lie rawana huwe. Khobsorat manazir gari mai zabardsat muhabat bhari
mosiki. Hatho mai hath is baat ki gawahi day rhy thy k hm waqai ek dosry sai
bht muhabat krty hai. Ham muree punchy. Mai nai aj dark blue jean capri pehna
tha. Opper chota sa top tha jis mai adha mera jism bakhoobi namaya ho raha tha.
Murre mai b log mjhe daikh rhy yaha tak k jaha hamari gari rukti waha sb ki
nazar pehle mere pai parti. Jb k Aryan nai kalay rang ka kurta shalwar pehna
tha opper kali hi chadar orri hoi th. Ham aek jaga rukhy to waha kuch larko nai
awaaz lagai “aj kall k mard apni orto ko dhakny ki bajain khud ko dhakay huwe
hai jese in mardo ki ezat mehfoz nh” sath hi kehkaho ki awaaz gonji hahahahahha
Mjhe is baat
pai gussa aya mai Aryan sai kaha “Aryaan tum nai in ki baat ka jawab nh diya
tumhy inhy sabak seekhana chiayay tha” Aryaan muskoraya or kaha “Eman tum meri
orat nh ho. Meri orat pai uthni wali nigah ko mai wese hi bahir nikhal lo ga
waqt ka intizar karo” Mai us ki is baat ko smjh nh pai. Fillhaal ham hotel
punch gayay. Waha pai ham nai aek room book krwaya. Ham apny room mai araam
krny k lie chally gayay. Waha sb hamy miya bv hi smjh rahy thy ham nai b un pai
yehi zahir kiya. Mai jab kamray mai gai to kamaray ki zameen pholo ki patio sai
bhari pari th choti candles jal rh th. Khobsorat saja karma mjhe kheyal hi lag
raha tha is qadar khobsorat sajawat candle ki roshni mai giri pholo ki patiiyan
or kamray mai dark color ka furniture or thanda mosam in sb lamho ko or
khobsorat bana raha tha. Bilakhir ham araam krny k lie kuch dair so gayay. So k
uthy to tyar hony lagy or ham tyar ho k bahir chally gayay murre ki barfeli
raat ka safar hatho mai hath thamay ham murree ki sarko pai chall rahy thy.
Waha Aryan nai mjhe khoob shopping krwai. Mai khud ko hawao mai urta mehsos kr
rh th mjhe yaqeeb nh atta tha k muhabat itni khobsorat cheez hai. Or mai yeh
sochti th k mai itna arsa itnay khobsorat relation sad or keu rh.
Phir ham aek
sunsan jag pai ja k beth gayay. Waha mai Aryan k kandhy pai sar rakha or beth
gai log hamay musalsal dekh rahy thy par hm duniya ki parwa kiyay begair bethy
khoob batain kr rhy thy. Mai Aryan sai kaha “kia tum mere sath aisi hi pyar
krty raho gay hamesha” us nai mere hath ko mazboti sai thama jis nai mjhe us k
pass bethy khud ko mehfoz paya Us nai kaha ”han billkull bus tum mere sath aise
challti rehna mai tumhy hamesha aise hi pyar do ga” Aryan wese bht sharmila or
masoom tha. Mai kaha din to us nai kaha han din hai mai kaha raat to us nai b
chup kr k man liya k haan raat hai. Aurton sia zyada nazakat pasand tha. us sau
kisi qisam ka dhoka faraib nh ho skat tha. mjhe is baat ka yaqeen tha k Aryan
mitti ho jain ga k laikin mjhe kbhi nh choray ga. Or yh baat mjhe asmaan ki un
bolandio pai lay jati th jaha janay ka tasawur insan ko beqarar kr daita hai.
to be continued
Writer Hifza Faysal
Azmaish
Reviewed by hifzafaysal.beautifullarticles
on
July 22, 2019
Rating:
Reviewed by hifzafaysal.beautifullarticles
on
July 22, 2019
Rating:
