Azmaish

                                                AZMAISH

Yehi yehi sochyty sochty class mai jaty huwe mai aek larky sai takra gai. Qk mera dehaan apny khwyalo mai tha mai dill hi dill mai khud ko sarah rh th jis k natijay mai mai is shaks sai takra gai. Yh meri Aryan Malik sai pehli mulakat th. Mai us pai chilla pari “kia tumhari ankhay kam nh krti kia tumhy  nazar nh atta k tum agay daikh k challo” abhi mai yh sb keh hi rh th k wh mjhe daikh k muskara utha. Mai us k muskarany pai or gusse mai a gai par mere kuch or kehny sai pehle hi us nai mjh sai kaha k mai ap sai nh takraya ap kahi gum challi ja rh hai or daikhy ap to yaha sitting area mai a k mjh sai takra gai. Na janay kaha jana tha ap nai par ap ki mulakat mjh sai ho gai kia shyd yeh qismat ka likha tha k ap nai mjh sai millna tha Us ki yh baat sunny k badd mai jaiza liya to daikha k mai itni gum th apny kheyalo mai k pata hi nh kab mai apni class mai jany ki bijain canteen side pai a gai.
Mai usy kuch mazeed kehna munasib na smjha or waha sai jany lagi. To us nai mjh sai pocha k “kia ap new student hai university mai agr ap kahy mai apko apki class tak chor ao” laikin mai us ki baat ka jawab nh diya or waha sai challi gai. Aryan onchy lamby kad ka hamil tha us ki gehri samundar jesi ankhy th rangat ka b gora tha. Baal us k halky boray rang k thy. Is mai koi shak na tha k wh ek haseen larka tha laikin meri ana is cheez ko kese tasleem kr laity k Ghulam Ali shah ki ik loti olaad kisi k samny jhok jain.
Mai un larkeo mai sai har giz na th jo Ishq Muhabat jese fazoliyat pai yaqeen rakhti th. Laikin mera uthna bethana aisi gathering mai tha jaha pai larka larki ka sath bethna ya ghomna  mayoob nh smjha jata tha. Mere waldain nai kbhi mjhe raat ko dair sai ghar anay pai, fashion krny sai, raat ko parties attend krny sai, ghr mai friends ki get together sai kbhi nh roka tha. Yaha tak k jo mere kuch chand dost thy un mai zyada tadad larko ki th. Mai bht azad kheyal zinadagi guzar rh th.
Wh mera class ka pehla din tha mai class mai dakhil hoi to samny Proffessor Abbas samny bethy mjhe daikh rhy thy. “Gee Eman Ali mai apka kafi dair sai bari be sabri sai intizar kar raha tha” Mai nai kaha “Gee sir mai bus a hi rh th gari kharab ho gai th rasty mai” Professor Abass”oh koi baat nahi yeh lay ap mera number lay lay jab b apko meri zarorat ho ap call kr daina is tarah ka masla dobara ho to mai apko gari baij do ga” mjhe un ki nazaray kuch ajeeb c lagi laikin qk mjhe in cheezo ki adat th is lie mai zyada gor nh kiya. Professor Abbas mere baba ko bht achi tarah janty thy. Yh omar k bht baray nh thy laikin choti hi omar mai inho nai professor ka rutba pa liya.
Mai apni jaga pai ja k beth gai or kuch dair baad mai dekha k wh larka jis sai mai takrai th wh b class room ki janib a raha tha. Mere lie yaha sb log fillhaal nayay thy or qk jis jaga salo guzarany ho waha koi to sathi chiyay hota. Waha class mai sb Aryan k charchy kar rhy thy k bht ameer hai bari gari pai aya hai khobsorat b bht hai. Kafi larkiyan us sai dostiyan karna chahti th. Aryan nai a k charo atraf daikha or phir chall k mere pass beth gaya. Mjhe is baat ka yaqeen tha k is sai hath millany k lie takaluf mjhe hargiz nh krna paray ga. Bill akhir aisa hi huwa wh mere pass a k betha or mjhe dekhny laga. Mai adatan itrai hoi magrori c akar k bethi th. Abhi class shuro hony mai waqt tha. Sunay Aryan nai kaha “ aagr ap bura na many to aek baat kehna chaho ga” mai dill mai soch rh th k yehi kahy ga k mai ap sai dosti krna chahta to mai thora itrao ge phir kuch arsay baad haan kr do ge. Laikin mere haan kehny ki dair th. Aryan nai ek clap ki or hamary pass 4,5 larkay gitar k sath kharay ho gaya sath kuch larkiyan pass khari hath mai gulaab ki patio ki plate liyay khari th or Aryan nai apny pass rakha pholo ka guldasta apny hath mai lay k mer qadmo mai gir hi gaya takrebn. Aryan nai mjh sai kaha “Emaan mai Aryan Malik aj is puri university k samny iqrar krta ho k tumhara aj mjh sai takrana, meri tarf daikhna. Tumhari yh pehli mulakat nai mjhe majbor kr diya k mai tumhary samny juk jao. Mai jo aj tak kbhi kisi k samny aise nh jhuka aj mai is baat ko manta ho or kehta k Mjhe tum sai pehli mulakat or pehli nazar mai pyar ho gaya. Mai ghoma phira k baat nh krta bus itna kaho ga ab tum bin  mai kuch nh” sath hi us nai apni revolver nikali or kaha k “mjhe tumhara jawab haan mai chiyay warna mai yaha  mai sb k samny tum ko or khud ko shoot kr do ge qk mai intizar krny ka addi bilkull nh ho or meri pasand ki cheez kisi or ki ho yh mjhe manzoor nh”


To be continued
Writer Hifza Faysal
Azmaish Azmaish Reviewed by hifzafaysal.beautifullarticles on July 22, 2019 Rating: 5
Powered by Blogger.